Thursday, September 27, 2012

Aaj Fir Ek Uphar Dede




Roshni se bhagti zindagi mein mujhko,
Thoda sa chain lauta de,
Palkon ko band ker, apni sanse mehsoos ker sakun,
Mujhko aisi ek shaam lauta de,

Ek bar mujhko holi mein khelne ko,
Rang bhari pichkari dede,
Wo baat baat per mu fulane ki,
Mujhko kamsin bimari dede.

Ek baar fir se mujhko,
Wo chhote hote joote dede,
Hath mein ek pencil dede,
Ankhon mein sapne anoothe dede,

Magic colours aur plastic ka racket dede,
Mummy se chhupa ker jo layi hai,
Hatho mein ,wo chooran ka packet dede,

Wo gudia ke baal khilade,
Ya bambai ki mithai ka uphar dede,
Wo tuti futi English wali,
Ek bar fir se mujhe zuban dede…

Bas ek bar fir-
Ye poem likhne ko, Ek Ink pot,
Aur ek Ink pen udhar dede
Jo ghanton kha saku wo,
Chhota sa aachar dede,

Wo pehla pehla sapna dede,
Pehla pehla pyar dede,
School se chhuti hone per,
 Doston se bichadne ka gam,
Aaj tu mujhko udhar dede…. L

Kal Hi To-



Kal hi to-
Main sochti thi, kis tarah kam karu main baste ka bojh
Kis kitab ko na le jaun, aa dost koi rasta khoj.
Ek din tu le aana kitab, Ek din main le aaungi
Per toffee ki rangin panniyon ke bin main na reh paungi.

Kal hi to-
Dictation mein kam number aane per papa ne danta tha,
Aur barf wali ice cream khane per mummy ne mara chanta tha.
Kal hi to didi ke sath main bournvita chura ker khati thi,
Sawalo ke jawab na aane per teacher se bahane banati thi.

Kal hi to main-
Apne kamre se bahar jane se darti thi,
Chhoti si aandhi dekh ker main mom si pighalti thi,
Subah subah  papa cycle mein hawa bharte the,
Tiffin laga ker mummy meri, bottle mein pani bhara kerti thi

Kal hi to-
Aage aage main hoti thi,
Peechhe mummy nashte ke sang,
Meri khoyi hui cheezo se
papa ho jate the tang.


Kal hi to-
Raaton ko bhai ke sang ,
Der tak padhne ki jang lada kerti thi,
Wo bechare padh rahe hote,
Main kitab kol ke soya kerti thi.

Kal hi to-
Mummy se meri imli todne ki shikayat na kare,
Ki main rikshay wale bhaiya se darti thi,
Bas us ek rupaye ke khatir,
Kanya bhojan pe jaya kerti thi….

Kal hi to
Main roti nahi bas aankhein mala kerti thi,
Sur per mere do choti hua kerti thi,
Haatho mein mere gudiya thi,
Aur main bohot chhoti hua keri thi…….

Haal-E-Dil




Jab pehli bar dekha tha ,to jana nahi tha,
Ki ruk jayegi zindagi yun, unke sath chal ke,
Ek ek lamha guzrega ab humara,
Unke sath guzra ek ek lamha yad ker ke…

Yun to guzaare kuch pal hi thi humne,
Per wo pal ab mujhe raato ko sone nahi dete,
Yun to hai ye ek guzra hua kal,
Per itna khubsoorat ,ki hum ise khone nahi dete…

Tamanna ki hai is dil ne ki,
Ab keh hi denge hale dil, ki hoton ko ab siya nahi jata,

Qaid  ker lenge unko hum apni bahon mein,
Ki ab yadon ke sahare jiya nahi jata….






Wednesday, September 26, 2012

Meri Manzil Mere Raste




Meri manzil ko namumkin kehne walon, kya tumne meri manzil banayi hai,
Kya tumko pata kya kahani meri, maine kitni thoker khayi hai?

Tum nahi the sath mere, Jis din main tanha akeli thi,
Mere sath mera saya bhi nahi tha, andhere ki main saheli thi.

Kon tha mere aas paas jab main, deewaron mein band roti thi?
Mere aansuon ki fiker kise na thi, jab main raton ko na soti thi

Kisne law jalayi thi jab , meri zindagi mein na hota savera tha,
Us waqt maine jaan liya, Kon mera hai aur kon mera tha.

Logo sunoge jo duniya ki, wo tumhe dhutkaregi,
Waqt mu mod lega, kismet bhi thoker maregi.

Mazil tak pohoch pane ki, qabiliyat usi ne payi hai,
Jo ye ache se janta hai, uski mazil usne hi banayi hai.



                   


Saturday, September 15, 2012

They Don't Deserve



As for them it was easy.
Some people don’t know what they are getting…
But time is not same every time,
Today it’s a cake walk, tomorrow could be jetting …

It’s impossible for many,
Which they got as gift,
So why they don’t understand,
Why their decision always drifts…

Wish for them, pray for them;
They are innocent fools….
Once gone, will never come back,
Then keep trying all your possible tools J

Friday, September 14, 2012

I wish....


I still think of you
I still feel so much
My heart halts for a while
When I think of our first touch

My breath slows down
When I see your face
It’s such a lovely feeling
One of my golden days

My lips stop talking
When you talk to me
I wish and sometimes dream
Are you the guy, for me?
Who can go on knees....?

Without you my life is,
 So lonely and lost,
I might not afford you,
If, love would have a cost.

But I thank to God
And every day I pray,
You will join my soul
I wish you will stay.....

Kavi ka dard





Hoti jo unke sang main , zindagi khushiyon se anjan nahi hoti,

Kya karun kuch likh nahi paati, jab tak zindagi pareshan nahi hoti...

Sochti hu unko bhool ke ,judai ka dard mita du dil se...

Per main kavi hu, aur dard bina kisi kavi ki kalpana mein jaan nahi hoti...

Wednesday, September 12, 2012

Kon sa ghar?



Jab zarurat hai sabse zada, tab koi nazar nahi aata...

Yahan kahan dhundu use, jahan koi mujhe samajh nahi pata,

Yun to main bohot baatein kerti hoon udan bharne ki...

Per sach to ye hain, mujhe ghar pe sukoon milta hai...

aur Aasma ke raste mein , mera ghar nahi aata....


Ab aur akele chalna, mujhe gawara nahi,

Sath dene wala koi humdum hamara nahi...

Baantu kiske sang ye khubsoorat zindagi meri....

Door door tak dikhta koi kinara nahi...


Akele to raja bhi fakeer ban jata hai ,

pyali bhar amrit bhi neer ban jata hai...

To main kahan haisiyat rakhti hu gustakhi karne ki...

Dil yahi soch ker murjha jata hai...

Akhir kiska ghar akele reh ker ban pata hai....

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...