Thursday, September 27, 2012

Aaj Fir Ek Uphar Dede




Roshni se bhagti zindagi mein mujhko,
Thoda sa chain lauta de,
Palkon ko band ker, apni sanse mehsoos ker sakun,
Mujhko aisi ek shaam lauta de,

Ek bar mujhko holi mein khelne ko,
Rang bhari pichkari dede,
Wo baat baat per mu fulane ki,
Mujhko kamsin bimari dede.

Ek baar fir se mujhko,
Wo chhote hote joote dede,
Hath mein ek pencil dede,
Ankhon mein sapne anoothe dede,

Magic colours aur plastic ka racket dede,
Mummy se chhupa ker jo layi hai,
Hatho mein ,wo chooran ka packet dede,

Wo gudia ke baal khilade,
Ya bambai ki mithai ka uphar dede,
Wo tuti futi English wali,
Ek bar fir se mujhe zuban dede…

Bas ek bar fir-
Ye poem likhne ko, Ek Ink pot,
Aur ek Ink pen udhar dede
Jo ghanton kha saku wo,
Chhota sa aachar dede,

Wo pehla pehla sapna dede,
Pehla pehla pyar dede,
School se chhuti hone per,
 Doston se bichadne ka gam,
Aaj tu mujhko udhar dede…. L

No comments:

Post a Comment

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...