Thursday, September 27, 2012

Kal Hi To-



Kal hi to-
Main sochti thi, kis tarah kam karu main baste ka bojh
Kis kitab ko na le jaun, aa dost koi rasta khoj.
Ek din tu le aana kitab, Ek din main le aaungi
Per toffee ki rangin panniyon ke bin main na reh paungi.

Kal hi to-
Dictation mein kam number aane per papa ne danta tha,
Aur barf wali ice cream khane per mummy ne mara chanta tha.
Kal hi to didi ke sath main bournvita chura ker khati thi,
Sawalo ke jawab na aane per teacher se bahane banati thi.

Kal hi to main-
Apne kamre se bahar jane se darti thi,
Chhoti si aandhi dekh ker main mom si pighalti thi,
Subah subah  papa cycle mein hawa bharte the,
Tiffin laga ker mummy meri, bottle mein pani bhara kerti thi

Kal hi to-
Aage aage main hoti thi,
Peechhe mummy nashte ke sang,
Meri khoyi hui cheezo se
papa ho jate the tang.


Kal hi to-
Raaton ko bhai ke sang ,
Der tak padhne ki jang lada kerti thi,
Wo bechare padh rahe hote,
Main kitab kol ke soya kerti thi.

Kal hi to-
Mummy se meri imli todne ki shikayat na kare,
Ki main rikshay wale bhaiya se darti thi,
Bas us ek rupaye ke khatir,
Kanya bhojan pe jaya kerti thi….

Kal hi to
Main roti nahi bas aankhein mala kerti thi,
Sur per mere do choti hua kerti thi,
Haatho mein mere gudiya thi,
Aur main bohot chhoti hua keri thi…….

1 comment:

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...