Wednesday, May 18, 2011

Lauta Do




Jo tum bolein ki meri saari cheeze Lauta doge….


Lauta do wo yadein,

Wo Kamsin raatein,

Lauta do wo sapna,

Wo adhuri kalpna…


Lauta to do wo ashq,

Wo meri zindagi ka lakshya,

Lauta do wo muskan,

Wo meri Panchhiyon si udan..


Lauta do tumse milne ki khwaish,

Lauta do wo mere pyar ki barish,

Lauta do ,wo guzri teri baahon mein sardi,

zindagi jo maine tere naam kar di...


Lauta do mujhe wo har ek lamha,

Lauta do wo meri adhuri Tamanna

Lauta do wo waqt meri zindagi ka,

Lauta do wo naaz, jo ab lautega kabhi na L

DOST

Satate bhi hain,

Manate bhi hai,

Udas rahun to,

Hasate bhi hain…

Khush ho jaun to rulate bhi hain…

Aur fir has has ke chidate bhi hain…

Kabhi chhoti si baat pe ehsan jatate hain…

Kabhi Sab kuchh deke ,anjane se banjate hain…


Kabhi apne pyar ke khatir bhula dete hain hume,

Per fir pyar ko chhod ker, wapus aate bhi hain…

Kuchh aise hote hain dost,

Juda hoke bohot yaad aatebhi hain…

Aur sath reh ke jaan khaate bhi hain …

RISHTE

Ajeeb anokhe hote hain rishte,

Husate hain rishte, rulate hain rishte,

Kisi ka pyar pake, muskurate hain rishte…

Judai mein kisi ki,tadpatein hain rishte…

Kuchh haseen hote hai,

Kuchh bohot haseen hotein hain rishte…

Jitne log utni tarah ke hain rishte,

Kuchh log khel ke tod dete hain rishte,

Per hum un kuch kuchh logo mein aatein hain jo,

Marte dam tak nibhate hain rishte.

Aur kuchh is tarah mera jeewan khatam ho gaya



Haan haan aaj main bohot royi,

Per isliye nahi ki dil ko teri yaad aayi…

Per isliye quki,aaj sab kuchh khatam ho gaya...



Tera diya naam, teri di hui nami,

Dafan ho gaya,dil ke kone mein kahin,

Aur aaj sub kuchhh khatam ho gaya…


Kal tak tujhse door rehker bhi,

Teri khushiyon ki dua mangti thi main…

Per aaj meri duaon ka kafila bhi khatam ho gaya…


Tere naam se roti,bilakti,siskiyan leti,

Meri in sanson ne kal tak bus tera naam liya,

Per aaj meri saanson ka silsila bhi khatam ho gaya…


Akhri palon mein apne, tujhe nikal ke dil se,

Socha ab basanyege is dil mein koi aur,

Raas na aayi mere dil ko ye baat aur fir,

Is dil ka dhadkna bhi khatam ho gaya…

Tuesday, May 17, 2011

KHUSHI


Khushi ki talash mein ghar se main chal padi ,

Khushi to nahi mili per , ye nazar tumse ja mili…

Dil hai pagal, tumhi ko khushi samajh baitha…

Is Nami ko, tumhare Ankhon ki nami samajh baitha…

Per ise ahsas na tha....

Ek din tumhari nazaro se gir jaungi main…

Tum to pani samajh ke mujhe poonch doge,

Per tumhare bagair tadap ke mar jaungi main…

Per tum mano ya na mano….

Ankhon mein tumhare humesha ye nami rahegi…

Jab bhi kisi aur ko basaoge inmein…

Main chupke se beh jaungi…

Tumhe pata bhi na lagega aur

Tumhari duniya se chali jaungi…

Per mere bad jo nami tumhare aankhon mein base…

Bus wo nami humesha ke liye barkarar rahe

Tumhari in aankhon se wo kabhi na chhalke

na aaye kabhi tumhari aankon mein aansu banke…

Bus issi umeed mein mujhe meri khushi mil jati hai,

Ab main raston mein kya dhoondu use,

Meri khushi to tumhare hoto pe nazar aati hai….

Zinda reh nahi paungi...


Aaj maine tumhe raste me dekha

Dil ne kaha poochhu , kya ye chehra yad hai…

Phir dil se aawaz aayi,

tumne pehchana nahi to sehe nahi paungi ,

Lal ankein dekh ke tumhari man mera machal utha,

Dil ne kaha poochu tumse in mein kya dard samaya hai….

Phir ek aawaz aayi,

ke tune bula liya mujhe wapus to main reh nahi paungi….

Apnein samne dekh ke tujhe ,laga suna du hale dil apna,

Per fir ek awaz aayi, ki shayad ab main sach keh nahi paungi….

Socha bhul jaun tere diye hue gum ko,

Aur laga lu gale se tujhe…

Per fir awaz aayi ki

Ab pathhar dil ke sath main bhawnao mein beh nahi paungi….

Phir laga rasta badal du…

Fir aawaz aayi

Rasta badal ke bhi to zinda reh nahi paungi…

Sunday, May 15, 2011

Masoom Dil..... :(

Bechara, mera zakhmi dil…

Aaj bhi tumhe yaad karke rota hai…

Use kya pata bewafai kya hoti hai,

Kis baat ka naam dhoka hai…

Ye to kal bhi nadan tha aaj bhi hai,

Masoom dil ko andaza bhi nahi,

Ki pyar kerne ke bad,

Ise toot jana hota hai….

Ye to tumhare naam se dadakta hai,

Kabh tez ,kabhi dheere,

Kabhi kabhi sisakta hai….

Per bechara, ye nahi samajhta…

Ki tum ab nahi lautoge,

Tumne koi aur ghar dhoond liya hai,

Aur ye aaj bhi tumhare intezar mein….

Roz meri palkein bhigota hai….

Tumhari galti nahi, main to samajhti hoon yar….

Per kya karoon…

Dil abhi nadan hai ,dil abhi chhota hai…

Saturday, May 14, 2011

Sorry I can't wait any more....


Hey it hurts when u shout at me,

But it hurts more, when u keep silence...

It’s difficult to bear, when u avoid me,

And its another invitation to violence,

Between u and me :(

These are some lines,

I wrote when you were here…

Now there is a hollow heart with me,

And no eyes to seer…

But I can still feel you,

Why didn’t you burn my heart,

It would be better than hew,

You hewed my heart and went away…

So that there, no body can dare to stay…


But now you don’t belong to me,

Neither I’m yours,

But what can I say to you,

When you don’t want me anymore :(

Now it doesn’t hurt…

Nor I feel empty,

No reasons are left to divert…

But to quit there are plenty…


I’ll go with the plenty,

Because my hollow heart is scared now,

But I appeal to the world,

Never ever try to punish you though,

Because you left me for some years or so,

And I'm betraying by going forever

As you might have come back,

If I would have been able to wait for you some how…

Haan main galat thi….


Laga tha mujhe mar jaungi teri rusvaiyon ke bad,

Dil bhi dhadakna chod dega,teri parchhiyon ke bad…

paani ki boonde nahi thi, aansoon the mere,

Jise tum behta chod gaye,

Kash ki wo mera dil na hota,

Jise tum aise tod gaye….

Ek ashq aur beh jata,

To gum na tha

Per Gume hue dil ke tukde ko

Kahan dhoondu, in gum ki khaiyon ke bad…


Wo koi tumhara aalap nahi tha,

Siskiyan thi meri,

Tum sun ke bhi sun na sake,

Kuchh aisi kismat thi meri

Kwab bhi tootte to main sawar leti,

Per haquikat bi, ghair lagti hai, tanhaiyon ke bad…

Friday, May 13, 2011

This Poem is not for you....




I just wanted to be with you,

And you left me without any clue,

Had I asked you for more?

And you bashed my feelings

Perhaps you were bored….

I still remember every road,

On which we use to travel…

Those twists and turns became smooth,

Which were really ravel…

I used to cry on your shoulder,

Now I cry for you...

Being so empty, I cried all day

My bright life has changed to blue…

The memories can be felt on my face,

Sadness grew, my eyes can be traced.

But I can feel the silver line,

And waiting for you to cry for me…

But the day on which you will realize my love,

You would have been replaced by some ‘HE’.

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...