Tuesday, May 17, 2011

Zinda reh nahi paungi...


Aaj maine tumhe raste me dekha

Dil ne kaha poochhu , kya ye chehra yad hai…

Phir dil se aawaz aayi,

tumne pehchana nahi to sehe nahi paungi ,

Lal ankein dekh ke tumhari man mera machal utha,

Dil ne kaha poochu tumse in mein kya dard samaya hai….

Phir ek aawaz aayi,

ke tune bula liya mujhe wapus to main reh nahi paungi….

Apnein samne dekh ke tujhe ,laga suna du hale dil apna,

Per fir ek awaz aayi, ki shayad ab main sach keh nahi paungi….

Socha bhul jaun tere diye hue gum ko,

Aur laga lu gale se tujhe…

Per fir awaz aayi ki

Ab pathhar dil ke sath main bhawnao mein beh nahi paungi….

Phir laga rasta badal du…

Fir aawaz aayi

Rasta badal ke bhi to zinda reh nahi paungi…

No comments:

Post a Comment

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...