Monday, December 26, 2016

Zindagi...!

Har pahar, har din, guzar raha hai palo ki tarah,
Khwab, hakeekat, doston aur ajnabiyon ke beech,
Zindagi ho chali hai ajeeb mushkilon ki tarah.

Sheher badal badal ke, badal gyi zindagi meri,
Badle na halat lekin,
Raatein aaj bhi katti hain, siskiyonki tarah.

Thak jaati hai meri palkein, khwab na thak jaayein,
Bas itna sa dar hai yahi,
Bachpan, jawani sab kuchh khoya jise paane,
Aaj wo mukam hi lagne laga hai ajnabiyon ke tarah.

Kashmakash hai, zindagi ke raston ko lekar,
kahin door ye manzil ek mrigjal to nahi,
Kahin ye daulat, shohrat bas ek chhal to nahi,
Kahin bikhar naa jaun main patjhad ki tarah,

Bhatka hua rasta ban gyi hai ye zindagi,
Kahin chand bachi roshni bhi na bujh jaye,
Aur galat mod pe mudke, kabhi meri manzil hi na aaye...!

2 comments:

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...