Friday, June 27, 2014

Swollen Eyes!

A broken girl trying to be strong,
She wakes  at night long very long,

A pool of tears which she hides,
A broken dream on which she rides,


She used to think, he is the one,
And didn’t know how much it’ll hurt .
when for him its done...

With swollen eyes she wakes up every day,
Plenty of water she bash on her face,
Thinking water might take the pain away,

She looks into the mirror, saying I’m fine,
She stand straight and fake a smile,

This is how she starts every day,
Hiding the heavy heart behind a busy long day,

She closes her eyes thinking  that she’ll not remember him until she dies,
And next day again she wakes up with a sore throat and swollen eyes.


Tuesday, June 24, 2014

Meri zaroorat jab tak thi




Main shikwa karu kis baat ka,
Niharta roz mujhe tha wo,
Ki uski nazar mein main,
Khoobsoorat jab tak thi...


Na wo khud basa, 
Na kisi aur ko basne diya...mere dil mein,
Kuchh is kadar Nasur ban ker basi..
Mere dil mein uski moorat ab tak thi...



Jo bigad jaati hai kisi se,
To aaj bhi dua salaam jaan leta hai wo,
Chalo wajah kuchh bhi ho,
Uski zindagi mein meri ratti bhar ki hi sahi,
Ahmiyat ab tak thi...



Khudgarz nahi hai wo,
Khudgarz dil bhar gaya hoga uska,
badi shiddat se chaha tha mujhe usne,
Usko meri zaroorat jab tak thi...

Thursday, June 19, 2014

Tere Bin...


Khoya Nahi tujhko maine, per pake tujhe ab judai sahi nahi jati...
Meri raaton ki neend udane wale,  keh de tujhe bhi neend nahi aati...

Ek undekha unchhua sa rishta jo hai tere mere beech,
Us rishte mein duniyadari ki seemaien nahi aati...

Mujhe pata hai ek pyase panchhi ki tarah tu bhi mujhe milne ki firak mein hai,
Per panchhi ki tarah agar main bhi ud paati...

Fir chhahe aahein bhar bhar ke , bichadna padta humko,
Per  ud ker ek baar to tujhe mil aati,

Irada to nahi tha khuda ke sath gustakhi kerne ka,
Mafi chahti hu khuda se ki uski yaad aane se pehle teri yaad chali aati..

Mere kaleje ko apni hatheli mein rakhne wale keh de ek bar,
Ki meri saansein sune bina teri aankhon mein bhi neend nahi aati...


मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...