Tuesday, February 5, 2013

Teri Meri Kahani Hai...

Chhoti Chhoti badmashiyon me hi
 jeewan ki rawani hai,
Jo naa ki shararat to fir
 Ye bekar jawani hai,
Zindagi jo itni khoobsoorat hai,
Wo bas kambakhat dosto ki meherbani hai…

Na kisi ke liye rona hai,
Na kisi ki bewafai ki pareshani hai,
Meri kalpana ko chhavi mil gayi to theek warna,
Samjhenge aisi hi apni kahani hai…

Muskutare in honthon ke peeche,
Na koi bair na aankhon mein pani hai
Dard halka sa hai kahin per,
ye dastan hume nahi sunani hai,
Kyunki hame apna banana hai duniya ko
Aur ye duniya khusiyon ki diwani hai…


Saturday, February 2, 2013

Faasle


Kabhi Khoobsoorat hua kerte the,
Humare beech ke ye fasle,
Nazro se tay kiya kerte the hum,
Do kadmo ke ye fasle,
Gaal gulabi ho jaya kerte the,
Jo mil jati thi unki nazron se ye nazar,
Tab honthon ki shararti muskan ,
Mitati thi ye fasle,
Khoobsoorat na sahi
Per ab bhi hain ye fasle,
Dilon ko cheer jate hain,
Dard itna dete fasle.
Na muskan pohochti hai un tak na,
Nazrein mita pati hain ye fasle…..

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...