Friday, April 13, 2012

Chhro na mujhko halat ki tarah


Machal rahe hain. Tadap rahein hain…
pal rhein hai is dil mein aaj bhi jazbat nanhi jan ki tarah,
Kho na du tujhe darti hu main,

Paya tha tujhe maine ek vardan ki tarah…

Ye saal beetien hain tere bin,
Kai vanwaas ki tarah…
Tujhe itna khush dekh ker darti hu main,

Kahin bhul to nahi gaya tu mujhe, bure khwab ki tarah…

Mujhe pata hai , tu bhi bohot roya tha mere jane ke bad,
Per kahin sambhal to nahi liya tune khudko, hare hue pyar ki tarah,
Itna bata de ki ab kya hai teri manzil…
Mujhe chod na aise, banjare insaan ki tarah…


Bezuban but se ban jatein hain hum unke aage,
Waqt ke aage, ban ke reh gaye hain kacche dhage.
Man to kerta hai, fir ek bar laga lu seene se unhe…
Shayad ek bar fir se jee uthe mera mara hua dil…
Per himmat nahi hoti khush dekh ker unhe,
Aag kaise laga du unki duniya mein main…

Shayad wo aag ju bujh gyi hai unke seene mein,
Fir se fukaar uthe na mere bolte hi,
har ek lamha unki yaadon ka,
kaidh jazbaat, yunhin kholte hi…

Islie khush ho lete hain unki tasweer dekh ke hi
Unke sath rehker ilaz nhi ho paya dil ka,
kya pata jud jaye ye… roz aankein sek ke hi….

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...