Thursday, December 29, 2011

Wo jaisa bhi ho, jo bhi ho, Mujhe bus pyar kerta ho.


Na doulat ki khwaish,
Na Shoharat beshumar rakhta ho.
Wo to bus apne dil mein,
Mere liye pyar rakhta ho.

Kitna bhi vyast ho apni zindagi mein,
Per mere liye har shaam rakhta ho.
Apni khwabo ho pane ki chah mein bhi,
Mere khwabo ko na nazarandar kerta ho.

Wo jaisa bhi ho, jo bhi ho,
Mujhe bus pyar kerta ho.

Apne Gurur mein,
Mujhe aansuo se behta chhod na jaye,
Mere masoom dil ko,
Apni hasraton ke liye tod na jayein.

Jiske man mein main ,
rakt ki tarah behti hu
Jo saans sun ke samajh jayein
Ki main kya kehna chahti hu.

Jo ek umar ke bad mere aansuon ko,
Tamasha na kahta ho,
Jo mehsoos karta ho mere pyar ko,
Na ki sehta ho.

Wo jaisa bhi ho, jo bhi ho,
Mujhe bus pyar kerta ho.

Rooth jane ka mann to bohot tha mera,

Magar koi manane wala na mila.

Dost bhi kuch aise mile,

Jo chood gaye dilbar ke liye

Koi humdum hume humara na mila.


Dooriyan khatam hone ki raah dekhte dekhte,

Pyar hi khatam ho gaya,

Karar jo ek bar chhin gaya,

Wo hume fir kahin dobara na mila.


Aansu bhi ab mere mujhse kaha kerte hain,

Tanhayi pe teri husne ko jee chahta hai,

Per tujhsa koi bechara na mila.


Din mein sapne dekhte dekhte ub gaye the

Lekin raat ko bhi neend ka sahara na mila.

Haquiqat bhi upanyas ke panno ki tarah thi,

Ki sab theek hote hi, sath tumhara na mila.

Ghar se nikalte nikalte,

Aiyene se mera samna hua.

Wo kuchh is kadar muskuraya,

Ki mano mujh pe has raha ho.

Maine puchha usse,

Ki maine kya khata ki hai,

Jawab kuch aisa aaya,

Ki mano humara sath kabhi kilkash raha ho.

Akhir mein maine puchha,

Teri shikwa to bata de,

Wo aur hasa aur bola kuch aise,

Ki mano mujhpe tanein kas raha ho.

Jise tu aaina samajh rahi hai,

Wo tu hi hai koi aur nahi,

Is zindagi ki justju mein ,

Tu khud ko kahin kho baithi hai,

Ye sawal jo tune mujhse pucche hain…

Zara gor se dekh inka jawab

Teri hi annkhein deti hain.

Tuesday, December 27, 2011

.....


Aaj bhi meri suji hui aakhon ka,

Log haal puchhte hain.

Tujhse jude ateet pe ,

Hazaar sawaal puchhte hain.

Kehte hain log,

Kyun kisi ki main aaj tak ban na pai?

Mere tere pas wapus anne ka,

Khayal puchhte hain.

Tujhse alag main kabhi ho hi na pai,

Aur log humare sath ke saal puchhte hain.

Thursday, December 1, 2011

Maa



Tera wo roz subah uth ke mere liye khana banana,
Mere peechhe peechhe ghum ke use hatho se khilana.

Galti kerne per papa se ek-ek baat batana,
Roz hari hari sabzi khilake mujhe satana.

Office jane se pehle kehna,
Achhe se rehna.
Meri baklol baton ko,
Chup chap se sehna.

Mera fon aate hi mere liye nashta tyyar rakhna,
Main bimar rahu, tu puri raat mere sath jagna.

Mere rone per mujhe seene se lagana,
Mujhe pyar se apne haath fer ke neend se jagana,

Maa teri baatien mujhe har pal yad aatin hain,

Maa sari duniya yahan hai, tu kyun nahi aati hai.

Maa main bachpan se kehti rahi , mujhe bada kerdo,
aur bade hote hi apne sare gun mujh mein bhar do.


Per ab Maa mujhe aur bada nahi hona hai…

Mujhe wapus ghar bula le,

Maa mujhe teri god mein sir rakh ke sona hai…

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...