Wednesday, August 17, 2011

Khoya Pyar


Galti hui humse jo aaj bhi unhe,

Is dil se nikala na gaya.

Humne gehna samjh ke pehna unka pyar,

Aur unse humare pyar ka bojh uthaya na gaya…






Wo kehte rahe sub khatam ho gaya,

Per hum unke sang apni duniya sapno mein jeete rahe…

Badal ki tarah hum rote rahe,

Aur logo ko humare aansu,barish ke chheentein lage…..


Per ab baat kuchh aur hai….

Neend aati nahi sapne aate nahi,

Andhera hi andhera hai mere charo taraf…

Aas pas ab to saaye bhi nazar aate nahi.


Per ab to yeh zindagi hi haseen lagne lagi hai,

Teri yadon mein hume khushi milne lagi hai.

Raat ko sote hain…teri yadon ke sahare….

Jhank ke dekh mere dil ke darwaze mein…..

Aaj bhi teri tasweer lagi hai….


Mana ab in hontho pe muskan rehti hai,

Per tanhai mein in aansuo ko chhupaya na gaya…

Jiske liye hum mar chuke…

Unhe humse aaj tak bhulaya na gaya…..

No comments:

Post a Comment

मुझे कविता लिखना पसंद है… इन्हें कविता पढ़ना बिलकुल पसंद नहीं…. इसलिए अक्सर इनसे नाराज़ होकर इन्हीं की शिकायत… पन्नों में उतार देती हूँ… जान...